Google jald hi ab search Result me gaano ke Lyrics dikhana shuru kar dega . Digg search engine Google ne is facility ke liye duniya ki sabse badi lyric licensing Service ke sath kai saal ke liye deal ki hai. Toronto ki lyrikaphainda company ne Monday ko declared kiya ki Google ke sath hoi ek deal ke tahat ab company Google search Result our Google play Music App me 4,000 se jyada publisher se Lyric pesh karegi .
Is partnerships ki Ghoshana karte hoye lyrikaphainda ke CEO ne kaha ham khusa hai. Ki Google ki service par available gaano ke boll ab jyada number ke sath behter quality me hoge. Hum Google ke sath ek bade userbase ke liye jyada tej our asani se lyrics available karane ke liye kaam kar rahe hai .
Billboard ke According is partnership ke baad music publisher our song writers ko Revenue ke new source milege . is partnership ke tahat Google ne Monday se America me search result me lyrics dikhana shuru kar diya our jald hi dosre market me bhi is feature ko jari kar diya jayega.
Lyrikaphaida ne ek block post me kaha sabhi platform ke liye Legal our global lyric Infrastructure banane ke piche lyrikaphaida ki badi hissedari rahi hai . ab Google ke sath hoi partnership se is mission ko stronger karne me our help milegi . lyrikaphaida song writer our gaano ka adhikar rakhne walo ke liye new royalty jama karne ka kaam karti hai.
Is partnership ka matlab hai ki ab user ko kisi gaano ke boll ke liye Third party App ya website open karne ki jarurat nahi padegi our search result se bhi gaano ke boll jan payege .
Billboard ki Repot me age kaha gaya hai. Ki yah ek Important Revenue System ke tor par kaam karega. Me is ki kimat ke bare me to nahi bata sakta Lekin hame expectation hai ki is partnership se publisher our song writer ke liye kai million dollar ki salary hogi royalty is baat par depends karti hai. Ki gaano ke boll ko kitni baar dekha gya hai. Jitni jyada baar lyrics ko dekha gaya hai. Utne hi jyada paisa publisher ko milte hai.