India market me ek tarfa raj karne wali company nokia ne ek fir market me shandaar wapasi ki hai. nokia ne apne 3 android Smartphone ko launch kiya hai jisme nokia ka sabse purana phone nokia 3310 bhi shamil hai company ne nokia 3310 ko fir se market me utara hai Barcelona me chal rahe Mobile World Congress 2017 ke pre event me nokia ne apne smartphone nokia 3, nokia 5, nokia 6 ko launch kiye.
Nokia ke sabhi new Smartphone me sabse khass nokia 3310 hai jo 17 saal baat fir re launch hua hai nokia 3310 dunia ka sabse jayda sell hone wala phone tha. Jo year 2005 me band hone se pahle 12.6 Crore phone sell hua the ab iska naya versions launch kiya hai.
Nokia Company Ka brand ab Finland ki startup company HMD ke pass hai specialist ka manna hai ki kisi bhi brand ko Relaunch karne ka ye sabse behtar tarika hai.
Nokia 3310 apne strength ke liye jana jata hai company ne phone me purani ringtone or Snake Game ko bhi waise hee rakha hai. saath hee nokia 3310 ke kai features or accha kiya hai battery Talk Time ke mamle me bhi wahi baat samne aai hai ek baar charge karne par phone ko 22 Hours tak chla sakte hai. Standby mode par ek month tak on rakh sakte hai.
Nokia 3310 me kai new features ke saath 2 megapixel camera with flash LED hoga , Nokia Series 30+ operating system par chlega, phone me 16 MB of storage memory or extended up to 32 GB rahega, phone me battery 1200 MH hai, new nokia 3310 ki price 3500 Rs batai jaa rahi hai
Samsung से Nokia तक ये हैं 5000 से कम कीमत वाले Best Smartphone
Nokia Purebook X14 Laptop : शानदार फीचर के साथ नोकिया लाया दमदार लैपटॉप
Nice information.